People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 3 *

Yun Husn Jalwa
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Noor Devasi
Tag: Hindi
Video:
yu husn ka jalwa aam nahi ho sakta
yu husn ka jalwa aam nahi ho sakta
aise na machal diwane sambhal
dil dungi tujhe mai aaj nahi aaj nahi kal
jaldi me koi kaam kaam nahi ho sakta
yu husn ka jalwa aam nahi ho sakta

do hi din hue hai hame milke abhi milke abhi
mange hai anmol chize tu to sabhi raja chize sabhi
chehre ka naamak mathe ki chamak
baho ki lachak sanso ki mahak
kuch bhi to tere naam naam nahi ho sakta
yu husn ka jalwa aam nahi ho sakta

julfo me jahrile naag simte hue
naag simte hue aankho se palko ke
kate lipte hue kate lipte hue
cheda jo agar rakhna ye khabar
nas nas me kar dega asar
aankho ka piye jam jam nahi ho sakta
yu husn ka jalwa aam nahi ho sakta
aise na machal diwane sambhal
dil dungi tujhe mai aaj nahi aaj nahi kal
jaldi me koi kaam kaam nahi ho sakta
yu husn ka jalwa aam nahi ho sakta
Abhi Zara Si Derme
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Naqsh Lyallpuri
Tag: Hindi
Video:
abhi zara si der me ye raat gungunayegi
ye dhadkano ki lay koi hasin dhun sunayegi
na tujhko nind aayegi na mujhko nind aayegi
mere karib aake pee ye fasla mita ke pee

jo tu kahe to jhumti mahakti julf khol du sanam
teri mahakti sharab me labo ka rang ghol du
jo tu kahe to jhumti mahakti julf khol du sanam
teri mahakti sharab me labo ka rang ghol du
teri najar najar pe mai inka phul tol du
mere karib aake pee ye fasla mita ke pee
mere karib aake pee ye fasla mita ke pee

ye raat ek umar hai hai umar pyar ke liye
yu ajnabi se banke hum agar jiye to kya jiye
ye raat ek umar hai hai umar pyar ke liye
yu ajnabi se banke hum agar jiye to kya jiye
tu un gamo ko bhul ja jo gum hai waqt ne diye
mere karib aake pee ye fasla mita ke pee
abhi zara si der me ye raat gungunayegi
ye dhadkano ki lay koi hasin dhun sunayegi
na tujhko nind aayegi na mujhko nind aayegi
mere karib aake pee ye fasla mita ke pee
mere karib aake pee ye fasla mita ke pee
Nazar Hai Badli
Lyricist: Kulwant Jani
Tag: Hindi
Video:
aap chehre pe chada lijiye lakho chehre
asli chehre ko chupana to bahut muskil hai
badaliya dhanp to sakti hai chand suraj ko
unki kirno ko dabana to bahut mushkil hai

najar hai badli badli si ada hai jaani pahchani
najar hai badli badli si ada hai jaani pahchani
tujhe hum maan gaye maan gaye maan gaye jaani
najar hai badli badli si ada hai jaani pahchani
kabhi anjaani surat bhi hame lagti hai pahchani
kabhi anjaani surat bhi hame lagti hai pahchani
magar ye wo nahi wo nahi wo nahi rani
najar hai badli badli si ada hai jaani pahchani

hum jami pe rahke sitaro ki khabar rakhte hai
jism hai shishe ka
pathar ka jigar rakhte hai dhokha kha jaye
najar apni ye mumkin hi nahi
tadpne wale kayamat ki najar rakhte hai
ke sach par jhuth ka parda girana to hai nadani
ke sach par jhuth ka parda girana to hai nadani
tujhe hum maan gaye maan gaye
maan gaye jaani kabhi anjaani surat bhi
hame lagti hai pahchani

aapka andaza maana ke bahut acha hai
aapne aankho ko aayina bana rakha hai
par jo dharti se gagan milta najar aata hai
wo najar ka nahi dhokha to fir kya hai
khuda jane tumhe kis baat par hai itni hairani
khuda jane tumhe kis baat par hai itni hairani
magar ye wo nahi wo nahi wo nahi rani
najar hai badli badli si ada hai jaani pahchani

yaki na aayega hamko kabhi aisi dalilo se
to jakar mashwara kar lijiye apne wakilo se
jarurat kya bhala hamko kisi se mashware ki hai
to fir maan lo chup chap ke ye or koi hai
magar ye jhuth hai sada to fir layo sabut iska
wahi ye nak naksha hai khuda ne sabko baksha
hai kamar bhi patli hai waisi milegi lakho ki aisi
lachakti chal me masti jawani me rahe sabki
hame nadan samjhte ho aji kyu gussa karte hai
ye parda chak kar denge irada khak kar denge
ye parda chak kar denge irada khak kar denge
humse jo jeet sake
aisa jamaane me nahi haar ka jikar kahi
apne fasane me nahi kaha ab kuch to
pachtana padega tujhko diwani kaha ab kuch to
pachtana padega tujhko diwani
magar ye wo nahi wo nahi wo nahi rani
kabhi anjaani surat bhi hame lagti hai pahchani